No Cold No Tension - Ghar Ke Asaan Nuskhe Jo Rakhein Thand Door

N o Cold No Tension - Ghar Ke Asaan Nuskhe Jo Rakhein Thand Door Sardi lagna ek aam baat hai, lekin jab baat bacchon, infants, toddlers ya pregnant ladies ki hoti hai, toh thodi extra care ki zarurat padti hai. Is blog mein hum baat karenge kuch Indian home remedies for cold ke baare mein jo organic medicine ki tarah kaam karte hain bina side effects ke. Sardi Kyu Lagti Hai? Sardi ya cold virus infection se hoti hai. Jab hamari immunity weak hoti hai ya mausam badalta hai, toh hum jaldi is virus ki pakad mein aa jate hain. Bacche, toddlers, infants aur pregnant ladies ki immunity kamzor hoti hai, isliye unhe zyada sambhalna padta hai. Home Remedies for Cold Sabke Liye! Chaliye dekhte hain kuch tested aur trusted ghar ke nuskhe: Tulsi aur Adrak Wali Chai (Adults & Pregnancy ke liye) Ingredients: 5-6 Tulsi ke patte, 1 inch Adrak, 1 cup paani Method: Pani ko ubalne dein, Tulsi aur Adrak daal kar 5 minute boil kare. Thoda shahad milayein aur garma garam pee lei...